Affiliate Monster (Complete) - हिंदी में Affiliate Marketing

नई-नई शुरुआत करने वाले लोगों के लिए छोटे छोटे स्टेप में Affiliate Marketing पाठ्यक्रम

Ratings: 4.23 / 5.00




Description

“Affiliate Monster” Course mein aapka swagat hai. Yeh ek-matra Affiliate Marketing Course hai puri tarah Hindi mein, jo aapko Step-by-Step sikhati hai Beginner level se ki aap apni journey Affiliate Marketing ki duniya mein properly kaise karni chahiye.

Beginners ki sabse badi problem hai ki, Affiliate Marketing exactly waisa nahi hota jaise inn stupid YouTube videos mein log dekhte hain. Aapko pata hogi hi, mai kis baare mein baat kar raha huin.

Iss course mein, mai in-depth me sikhaunga aapko apna Affiliate Marketing empire banana, taki aap Affiliate Marketing ko Auto-pilot per set kar sako. Haan, aisa possible hai, per yeh achieve karne ke liye aapko suru mein bahut saari mehnat karke chizon ke set karna padta hai.

Yeh ek beginner level course hai Affiliate Marketing ki duniya ko samajhne ke liye.

Affiliate Marketing simplest term mein, dusre ke product ko bechna hota hai. Aur majedar baat, aap nahi product own karte hain, na hi customer support, na shipping ka headache. Yeh saari chiz product owner handle karta hai, aur aap bas traffic laane ke commission lete hain.

Aadhiktar case mein toh aapko, customer ko convience bhi nahi karta padta product lene ke liye. Kyunki aap unn customers ko bhi target kar sakte ho jo already aapke Affiliated Product ko khoj rahe ho search engines per.

Ji haan, aap sirf customer ko sahi jagah guide karne ke bhi commission lete ho.


Aise toh Amazon bhi affiliate marketing karta hai, aur majedar baat aap Amazon per apne hi store ki khud affiliate marketing kar sakte ho. Matlab sale se fayda alag, aur Commission alag se.

Per amazon ki affiliate marketing ki commission bakwas hai 2% se 8%, jabki digital world mein commission 40% se start ho kar 85% tak bhi jaati hai.

What You Will Learn!

  • Affiliate Marketing Empire ko Scale kaise karein
  • Affiliate Marketing ki Industry practise kaise follow karein
  • Set your Affiliate Marketing Empire on Auto-Pilot
  • Clickfunnel kaise use karein

Who Should Attend!

  • Entrepreneurs
  • Hustlers
  • Looking to make money online
  • Looking to generate some income on the side
  • Looking to have passive money